Friday, June 02, 2006

Aap ka khayaal

Jaanu, aapke baare mein sochti hoon, to koi aur khayal nahi rehta
Aapse baat karne ke baad, kuch aur sunne ka man nahi karta

Aankhein band kar loon, to aapki maujoodgi ka ehsaas hota hai
Aapki muskaan jab yaad aaye, wo lamha theher-sa jaata hai

Kitni saari baatein karni hain, sochti hoon, jaane kab milenge
Par itna bhi jaanti hoon, milne par kuch bhi na keh sakenge

Itne faasalon ke baavajood bhi, aap kyu inte kareeb lagte ho
Itne anjaan hokar bhi, aap kyu apne-se lagte ho

Jab se aapko jaana hai, bas aap ki ho chuki hoon
Aapki kitni aarzoo hai, ab tak na keh saki hoon

Aap is tarah se dekha na karo, ek chhoti-si gujaarish hai
Sharm se palkein jhuk jaati hain, tauba, ye kaisi kashish hai

No comments: