Friday, June 02, 2006

Baatein (II)

Palkein moond lete hi, khwaabon ki barsaat hoti hai
Khwaabon mein tum aate hi, rangeen ye qaaynaat hoti hai

Baatein tumhaari sunte hi, khayaalon mein kho jaati hoon
Khwaabon ke is silsile ko, kuch aur main uljha deti hoon

Uljhanon se hi banti hai khoobsoorat ye zindagi
Warna koi kyu karta kisi khuda ki bandagi

Na jaane kaun-sa jahaan khojte rehtein hain
Hum aur tum, na jaage, na soye rehtein hain

Bematlab ki baatein hain, log to yehi samajhtein hain
Par in baaton ki gehraai, bas, hum dono jaantein hain

No comments: