Friday, June 02, 2006

Tera saath hua karta tha

Is haath mein mere, tera haath hua karta tha
Har rah mein meri, tera saath hua karta tha

Kya din the mere, kya raatein hua karti thi
Jo chahate meri, sab poori hua karti thi

Hum jab se the mile, sama mehka hua lagta tha
Tum paas the mere, jahan rangeen bada lagta tha

Woh khushiyaan meri, jaane kahan gum ho gayi
O meri dil-nasheen, jaane kahan tum kho gayi

Ab tum nahi mere, to ruswaai hi haath hai
Har rah mein meri, bas tanhaai ka saath hai

Kya khwaab the mere, kya haqeeqat ab baaki hai
Ab dhadkane meri, bas itni dua karti hai

Ab tum jahan raho, sapnon ki wahan mehfil ho
Jis aur tum chalo, khushiyaan hi tumhe haasil ho

Beete hue jo pal, unhe bhoolna bada mushkil hain
Hai aisa yeh safar, jahan dard hi meri manzil hai

No comments: