Nikal pade hain saath-saath
Ek-dusare ka thaame hue haath
Na kisi ek dishaa mein chalnaa hai
Na kisi manzil ki or badhna hai
Bas tay karne hain kuchh raastein
Jo hum khud banaayenge apne vaaste
Is safar ka koi maqsad nahi hai
Sirf saath chalne ka mazaa kaafi hai
Jab raahein banaana apne bas mein ho
To hume hi sochna hain ki wo kaisi ho
Jab khushi paane ka man kare, to unhe khoobsoorat banaayenge
Jab khushi man bhar jaye, to unmein kaante bikher denge
Man kare to peechhe mud jayenge
Ya chaahein to naya mod bana denge
Apni zindagi hum khud jiyenge
Apni maut hum khud marenge
Maut ke baad bhi agar koi safar hota hai
To usmein bhi saath chalna hum pasand karenge
No comments:
Post a Comment