Friday, June 02, 2006

Jee karta hai (I)

Jee karta hai, kuch gaaoon, kuch gungunaoon main
Lavz jo kabhi ubhare na ho dil ki gehraiyon se
Naye suron mein unhe piroh kar
Naya taraana aaj banau main

Jee karta hai, bhatak jaoon, rahein bhool jaoon main
Jis makaam tak kabhi khwaab bhi na pahonche ho
In dishaaon ki saheli bankar
Us mazil ka safar apnaoon main

Jee karta hai, kuch sochoon, kuch samajhoon main
Kisi anjaane shayar ki bhooli hui gazal ko
Apne andaaz se padhkar
Naya afsaana jee loon main

Jee karta hai, door kahin, bas behti jaaoon main
Insaani jasbaaton ka jahan basera na ho
Aisi duniya se talash kar
Naye khayal khoj laoon main

Jee karta hai, so jaoon, aisi gehri neend mein
Na saansein chalein, na dil dhadake
Kuch aisa ho us nisha ka asar
Ki wohi savera dobara na dekh paoon main