Saturday, May 27, 2006

Aap hi se hain duniya hamaari

Kuch the gile shikve, Kuch thi galatfehmiyaan
Bane the kuch faasle, Mili hamen tanhaaiyan

Utaare na utarta tha, Dil mein jo tha zaher bharaa
Chaaha tha sulah karna, Par jubaan se alfaaz na nikalta tha

Kuch din kya beete tanhai mein, Hum to deewane ho gaye
Zaher ke jharne na jaane kaise, Mohabbat ke samandar ban gaye

Yeh mohabbat kya cheez hain, Kaun jaan paya hain
Kuch log isse anjaan, To kuch log hairan hain

Hum kitna samajh paye hain, Kehna aasan na hoga
Is jasbaat ko lafjon mein qaid kare jo, Mua beimaan woh hoga

Khair, gairon se hamen kya, Hum to aap me bastein hain
Aapki muskuraahat ko yaad karke, Aqsar tanhai mein hanste hain

Khayaalon mein jo kabhi, Aap humein nihaarte hain
Haqeekat mein na jaane kyon, Palak hum jhukaate hain

Kuch is tarah chaaya, Aapke mohabbat ka suroor
Seekh liya humne, Karna khud pe guroor

Suraj ki kirne, Har subah yun jhalakti hain
Mano aapki muskaan, Humare hothon se chalakti hain

Chaand ki halki roshni, Jab raaton ko chamkaati hain
Aapke mohabbat ki khushboo, Hamare tan ko mehkaati hain

Bas ab itni khwaish hain, Aapka haath thaame kuch der chale
Sar pe khula aasmaan ho, Pairon tale ho samandar ki ret

Sadiyaan gujar jayen, Par khatm na raahen ho
Koi juda na kar paye, Aisa hamara saath ho

Ummeed hain ab aap, Humare jusbaaton se waqif hain
Par hum jaante hain, jaankar bhi anjaan banna, aapki aadat hain

Bas itnisi hain kahani humari
Ab to aap hi se hain duniya humari

No comments: