Registaan ki tanhaai se gujar rahi thi jab
Tum aaye baadalon ki mehfil saath lekar
Tapti hui dhoop mein jhulas rahi thi jab
Raahat pahunchai tumne baarish ki bauchhaar bankar
Ret ka har daana mujhe chubh raha tha jab
Tumhaare pyaar ki har boond sehlaa gayi marham bankar
Kaanton bhari raahon pe mujhe chalna padaa jab
Aasaan banaaya safar tumne phool bichaakar
Khatre ki aahat se main dar gayi jab
Haunsla badhaaya tumne hameshaa saath nibhaakar
Pareshaaniyon se haar ke main rone lagi jab
Muskaan lautaayi hothon pe tumne ummeedein jagaakar
Meri duniya mein na koi rang the, na koi khushboo thi jab
Jindagi mehkaayi tumne hazaaron rang bikhraakar
Saare jahaan pe chhaaya tha soonepan ka kohraa jab
Is qaaynaat ko haseen banaaya tumne, mera humsafar bankar
No comments:
Post a Comment