Saturday, May 27, 2006

Samandar kinaare woh ladki

Samandar kinaare khadi ek ladki
Leheron mein apne kadam bhigoti
Gumsum-si hain nazar, hothon mein koi baat hain dabi
Sadiyon se chupchaap khadi, kisi anjaane ki raah takti

Ujaalon mein kabhi nazar nahin aati
Par shaam ko woh tasveer saaf hain jhalakti
Duniya se hain woh bekhabar, Seene mein koi raaz dafnaati
Kuch aisi hain hasti uski, kisi afsaane ka jaise kirdaar hain lagti

Har shaam, raat mein kho jaati hain
Phir wohi ladki dulhan ban jaati hain
Tab door kahin saahil par, ek aur tasveer hain ubharti
Dekhte-hi-dekhte, ek dulhe mein hain tabdeel hoti

Chaand phir thandi roshi phailaata hain
Aur sitaare baraati ban jaate hain
Sunke apne dulhe ki aahat, woh dulhan kuch hain sharmaati
Dari-sehmi-si woh ladki, hayaa ki moorat hain ban jaati

Dulhaa phir badhtaa hain kinaare ki aur
Baandhne dulhan se apne jeevan ki dor
Phir daaman mein samete, raat ke un sitaaron ki roshni
Apni duniya mein lautne, saahil ki aur woh parchhaiyaan hain badhti

Ye nazaara har raat mein dikhaai padtaa hain
Har savera ise dundhlaa kar jaata hain
Har shaam ko shamaa-si roshan hoti woh ladki
Har subah na jaane kis viraane mein gum ho jaati

3 comments:

sphinx said...

enchanting and haunting...i'll never go to a beach at night nw..bt beautiful,as always!

Anonymous said...

craved to read this ...hv bin rummagin thru ur posts...ws missin ur poetry...ws missin 'u'...it feels so gud to read it again...gaps left on time seem to fade...and makes me fall in lov wid u..all over again..

Pallavi Sharma said...

Then why don't you call me, girl? What is holding you back? I tried to contact you a few times, but you're always unavailable.