Saturday, May 27, 2006

Baatein nazaron ki

Sile hue hothon mein kaie raaz dafn hotein hain
Jhuki hui palak se jo bayaan kiye jaatein hain

Janna chaaho agar daastaan humaare dil ki
Kar lo roshan yeh shamaa apne nazaron ki

Humaari nazaron ke jugnoo bas khinche chale aayenge
Aapki nazaron ko saaree daastaan keh jayenge

Alfaazon ki jahaan koi zaroorat hi nahi
Zubaan ladkhadaane ki gunjaaish kahan rahi

Khayaal to kaie hain jo alfaaz ban na paye
Dar hai kahin aankhon se woh saare chhalak na jaaye

Aap to unhe thaam hi lenge apni hatheli par
Kar gayi humse yeh waada aapki pehli nazar

No comments: