Saturday, May 27, 2006

Hum intezar karenge

Din jo dhale, to aap humse mile
Har din yehi hain chahte
Par haath aati hain sirf tanhai
Har shaam dhalte-dhalte

Yoon to miltein hain kitne hi saathi
Unhe nahi hum ginte
Humsafar banayenge aap hi ko
Har rah chalte-chalte

Kehtein hain, zindagi adhoori hai
Bina kisi dilbar ke
Jee lenge hum, akele hi sahi
Agar aap nahi mile

Dil ka bojh utaarna chaahein
Kisi ke saath gum baantke
Par dab jaati hai baat, har baar
Hothon pe aate-aate

Dard jab hadh se gujar jaaye
To aankhon se chhalakta hai
Phir tham jaatein hain apne-aap
Yeh aansoo behte-behte

Palkein sookh jaatin hain
Man soona ho jaata hain
Phir chupke-se jubaan par
Aap hi ka naam aata hai

Dil toot gaya hai, phir bhi
Ummeed to baaki hai
Aapko paane ki aas laati hai
Har saans aate-aate

Galati huie hai humse bhi
Warna aap humse na roothte
Iska hua hai aaj ehsaas
Woh lamhein yaad karte-karte

Duniya ko bhula dein
Chahe khud ko bhool jaaein
Aap dil mein rahenge magar
Har pal, sote-jaagte

Aap kab honge meherbaan humpe
Yeh to hum nahi jaante
Par hum yoonhi karenge intezar aapka
Har roj chupke-chupke

No comments: