Saturday, May 27, 2006

Kashish

Duniya mein aate hain sab insaan
Liye hisaab mein faaydaa na nuksaan

Jeene ki pehli nishaani hoti hai ek saans
Jiske saath hi aati hai rone ki awaz

Ek nanhi-si jaan jab pehli baar roti hai
Logon ko na jaane kis baat ki khushi hoti hai

Rote-rote hi seekh jaatein hain log hasna
Jaise makdi ke jaal mein keede ka phasna

Bachpan ki masoomiyat mein hoti hain khushi
Umr ke saath beet jaati hai saaree hasi

Duniya ki uljhanon mein kho jaatein hain insaan
Haqeeqat ko bhoolkar bas rehte hain pareshaan

Maut ke saaye mein phir rah jaati hai ek kashish
Khud ko samajhne ki kaash ki hoti koshish

No comments: