Dilon mein armaan jagaati hain
Mausam to rangeen banaati hain
Barish ki har boond
Bas, jaadu kar jaati hain
Toote rishton ki yaad dilaati hain
Sookhe palkon mein aasu laati hain
Barish ki har boond
Qayamat bhi dhaati hain
Aasmaan se koi paigaam laati hain
Dharti ke kaanon mein kah jaati hain
Barish ki har boond
Dharti aur aasmaan ko milati hain
Murjhaaye paudhon mein jaan laati hain
Sooke hothon pe muskaan laati hain
Barish ki har boond
Humen bhi kuch sikhaati hain
Nadiyon mein baadh laati hain
Sabkuch bahaa le jaati hain
Barish ki har boond
Kisiki duniya bhi ujaadti hain
Kabhi kaaton-si chubhti hain
Kabhi halke-se chhu jaati hain
Barish ki har boond
Kai adaayen dikhaati hain
Chidiyon-si chahekti hain
Choodiyon-si khanakti hain
Barish ki har boond
Sureela geet gaati hain
Patthar pe gire to tootkar bikharti hain
Patte pe mile to aaina ban jaati hain
Barish ki har boond
Sheeshe ki saheli hoti hain
Kaliyon par suhaati hain
Mitti ko mahekaati hain
Barish ki har boond
Aisi niraali hoti hain
No comments:
Post a Comment