Saalon pehle ki hain haqeekat
Ek ladki ki, jo thi jaraa-si nat-khat
Duniya se thi woh bekhabar
Masoom-si thi uski nazar
Meethe sapnon mein khoie rehti thi
Hothon pe pyaari-si muskaan rehti thi
Kuch ajeeb-si thi uski aadatein
Karti rehti thi bachkaani harkatein
Ek din ho gayi kuch aisi qayaamat
Sun li usne kisi anjaane ki aahat
Palatkar jab woh dhoodhne lagi
To apne peeche ek parchhaie mili
Nazar uthaakar jo usne dekha
Aankhen uski kha gayi dhoka
Saamne khada tha uska deewana
Jise samajh baithi woh begaana
Aadat se majboor woh ladki
Phir se ek nayi sharaarat kar baithi
Deewane ko bha gayi uski adaayen
Kaisa ye jaadu hum kya bataayen
Ab jaadu to har taraf hota hain
Kaun jaane dil kaise khota hain
Ladki jo deewane se milne lagi
Usike khayaalon mein khone lagi
Uski gali se gujarne lagi
Usike liye ab savarne lagi
Dheere-dheere dono mein pyaar ho gaya
Mile bina jeena dushvaar ho gaya
Ishaar ki thi dono ko chaahat
par inkaar ki thi dono ko dahshat
Ek din ye majboori sahi na gayi
Dono ki jubaan se baat chalak gayi
Tab wahi jaadu phir kar gaya asar
Dono ko mil gayi manzil ki dagar
Unki duniya ko yun abaad karke
Mohabbat chal padi apna paigaam deke
No comments:
Post a Comment